Azab ye b ksi Or par nai aya

Azab ye b ksi Or par nai aya,

K ek umar chali Or ghar nai aya,


Os ek khuwab ki hasrat me jal bujhi ankhein,

Wo ek khuwab k ab tak nazr nai aya,


Kare tO ks se kare naar'saeyOn ka gila,

Safar tamam hOa hamsafar nai aya,


DilOn ki baat badan ki zuban se kah dete,

Ye chahte the magr dil udhar nai aya,


Ajeb hi tha mere dOr'e'gumrahi ka rafeq,

Bechar gaya tO kbhi lOut kr nai aya,


Hareem lafz'o'mafi si nesbateen b rahi,

Magr saliqa e arz'e'hunar nai aya...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,