Ay chara'gar-e-shoq koi aisi dawa day

Ay chara'gar-e-shoq koi aisi dawa day

Jo diL se her ik ghair ki chahat ko bhuLa day

Bus dekh Liya duniya k rishton ka tamasha,

MakhLooq se umeed k sab deep bujha day

Pakeeza tamana'ein b Laati hain udaasi,

Har zauq-e-taLab, shauq-e-tamana he mitta day

Ik main hoon faqat tu ho aur aaLam-e-hu ho,

Aey husn-e-azaL saray hijabaat utha day

Hai rooh ko her Lamha tere wasL ki umeed,

Aa zeest ki shab ko kabhi subha bana day.

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,