Kesa Aalam tha Wo Jazbon k Rafu ka Aalam

:Kesa Aalam tha Wo Jazbon k Rafu ka Aalam

Reza Reza Meri Sochen, Wo gHazal jesi thi

Kesa Mausam tha Wo Sanso ki Namu ka Mausm

Jheel jesi Meri Chahat, Wo Kanwal jesi Thi

Raat Aangan me Utarti thi, Magar yun ! Jese

Uski Ankho me Dehkta hua Kajal Phele

Subha Khwabo me Nikhrti thi Mehak kr Jese

Us k Seene se Phisalta hua Anchal Phele

Dil Dharkta tha, k Jese kisi Pagdanddi par

Uski Pazeb se ToOta hua gHungru Bole

ChoNk uThti Sma'et, k Safar me Jese

Us k Saey ki ZuBan me koi Jugnu Bole

Uski Zulfen meri Taskin k Bhanwr Bunti theen

Jese Khulte hue Resham se Hwa Chhu jaey

Us hee ki Parchai me liPta hua Jism

Jese toOte hue Sheesho me SaBu ka Aalam

Apne Saey ki Rfaqat pe bhi Kaanp Uthta hun

Shehar k Shehar pe, Chhaya hai Wo HuU ka Aalam

Kesa Aalam tha Wo ! JazbOn k Rafu ka Aalam...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,