Zameen pe chal na saka aasman se bhi gaya

"Zameen pe chal na saka aasman se bhi gaya"

"Katwa ke par, wo parinda
urraan se bhi gaya"

"Tabah kar gai pakkay makaan ki khuwahish"

"Main apne gaon k kachay
makaan se bhi gaya"

"Parai aag mein jal k bhi kya mila mujhko"

"Usay bacha na saka, Apni jaan se bhi gaya"

"Bhulana chaha to uski bhi inteha kar di"

"Wo shakhs ab mere wehm--
gumaan se bhi gaya"

"Kisi k hath ka nikla hua wo teer hoon main"

"Hadaf ko to choo na saka par kamaan se bhi gaya"....

Comments

  1. Salam.
    Dear Ghulam Ali Itni Pyari Nazam Ko Tabah Kar k Rakh dia Aap Ne Really...
    Itna ghussa Aa Raha Hy Aap Par K Dil Chah Raha Hy Mere Saamne Hotay To class Ka Chamaat maarta Apnay Aap Ko...
    Q k mein Bad tameez nahi bas kabi kabi buhat buri lag jati hy koi baat to khud ko hi azziat de deta hun...
    Suno ab mein apko asal nazam sunata hun..,

    ReplyDelete
  2. Zameen pe Chal na saka or Aasmaan se bhi gaya.
    Kata k Parr Wo Parind Udaan Se b gaya...
    Bhula dia to bhulanay ki Inteha kar di.
    K Ab wo Shakhs Mere wehm O guman se b Gaya.
    Kisi k Hath Se Nikla Hua Koi Teer Hun Mein.
    Hadaf ko Chhoo na saka jo Kumaan Se b Gaya.
    Tabah Kar gai mujhko Pakkay makan ki khwaish..
    Mein Apnay Gaaon k Kachay Makan Se b gaya...
    Parai aag mein Kooda To Kya Mila Mujhko.?
    Usay Bacha na Saka Or Apni Jaan Se Bhi Gaya...

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,