Naya Saal

Aey naye saal bata tujh

main naya kya hai

har taraf khalq ne kyun

shor macha rakha hai

roshni din ko wohi

taaron bhari raat wohi

aaj hum ko nazar ati hai

har baat wohi

aasmaan badla hai na

afsos badli hai zameen

eik hindsey ka badalna

koi jiddat to nahi

agley barson ki taraha

hongey qareeney terey

kisey maloom nahi

baaraa maheeney terey

january,ferwary,aur

march main paregy sardi

aur april,mayee,june

main hogi garmiiiiii

tera sune dehr main

kuch khoyega kuch

payega

apni miyaad basar kar

key chala jayegaa'

tu naya hai to dikha

subha nayee,shaaam

nayeee

warna in ankhon ney

dekhey hain saal kayee!!!!!

besabab detey hain q log

mubarakbadein!!!!!!!!!!!!

galiban bhool gaye waqt

ki qarvii yaadein!!!!!!!!!!

teri aamad sey ghatti

umer jahan main sab

ki!!!!!!!!

FAIZ ney likhi hey ye

nazam niraley dhab kiii!!!!!!

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,