Na haram mein sukoon milta hai

Na haram mein sukoon milta hai,
but khane mein
Chain milta hai,
to saqi tere maikhane mein,.,

Jhoom barabar jhoom sharabi
jhoom barabar jhoom

Kali ghata hai mast faza hai,
jaam utha kar ghoom ghoom
ghoom

jhoom barabar jhoom sharabi
jhoom barabar jhoom

Aaj angoor ki beti se mohabbat kar le,.,

Shaikh sahab ki nasihat se
baghawat kar le,,

Iski beti ne utha rakhi hai sar par duniya,.,

Yeh to acha hua angoor ko beta na hua,.,

Kam se kam surat-e-saaqi ka nazaara kar le,.,

Aa ke maikhaane mein jeene ka sahaara kar le,.,

Aankh milte he jawani ka maza aayega,.,

Kuchh to angoor ke paani ka
mazaa aayega,.,

Har nazar apni basad shauq
gulaabi kar de,.,

Itni pee le ke zamaane ko
sharaabi kar de,.,

Jaam jab samne aaye to
mukarna kaisa,.,

Baat jab peene ki aa jaye to
darna kaisa,.,

Dhoom machi hai maikhaane mein,.,

Tu bhi macha le dhoom dhoom
dhoom

Jhoom barabar jhoom sharabi
jhoom barabar jhoom..,.

Iske peete hi tabiyat mein
rawaani aaye,.,

Isko buRha bhi jo pee le to
jawaani aaye,.,

Peene wale tujhe aa jaye ga
peene ka maza,.,

Iske har ghoont mein poshida hi peene ka maza,.,

Baat to jab hai tu mai ka
parastar bane,.,

Tu nazar daal de jis per wohi
maikhuwar bane,.,

Mausam-e-gul mein to peene ka maza aata hai,.,

Peene walo ko jeene ka maza aata hai,.,

Jaam utha le mooh se laga le
mooh se laga ke choom choom
choom..,.

Jhoom barabar jhoom sharabi
jhoom barabar jhoom!

Jo bhi aata hai yahan pee ke
machal jata hai,.,

Jab nazar saaqi ki padti hai
sambhal jata hai,.,

Aayi idhar jhoom ke saaqi ka leke naam utha,.,

Dekh woh abr utha tu bhi zara jaam uthaa,.,

Is qadar pe le ke rug rug mein suroor aa jaye,.,

Qasrat-e-mai se chehre pe noor aa jaye,.,

Iske her katre mein 'Nazan' hai nihan darya-dili,.,

Iske peene se ata hoti hai ik
zinda dili.,.

Shan se pee le shaan se jeele..,

ghoom nashe mein ghoom ghoom
ghoom

Jhoom barabar jhoom sharabi
.
jhoom barabar jhoom..

Kali ghata hai mast faza hai jaam

utha kar ghoom ghoom ghoom

Jhoom barabar jhoom sharabi
jhoom barabar jhoom..,.

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,