Lab pai aati hai dua ban k tamanna meri

Lab pai aati hai dua ban k
tamanna meri,

zindagi bomb sai ho mehfoz
khudaya meri!

Main jo daftar k liye ghar se
nikal ker jaon,

Roz marrah ki tarha khair se
wapas aaon!

Na koi bomb k dhamakay se
uradaye mujh ko,

muft main jaam-e-shahadat na pila de mujh ko!

Jo urRaday mujhay khudkash to doain dunga,

bay wazu hokay chacha bush ko doain donga !

Biwi bachon ko meri jan ki
qeemat mil jai,

bethay bethay meray ghar
walon ko daulat mil jaye!

Hain jin logon se kal tak thee
watan ki zenat,

aaj woh log hoay qabar-o-kafan ki zenat !

Ghar mera hogaya viranay ki
soorut yarab,

Aur badli na kisi thanay ki soorat yaarab !

In pai jaiz hai zabardasti hukumat karna,

Aur hai jurm mujhey apne hifazat karna!

Rozi hum sub ki bacha roz ki
hartalon sai

Jan aur maal ho mefoz police walon sai!

Jub na schol khulain gay to
perhain gay kaisay,

Aur zinda na rahaingay to
barhaingay kaisay...!

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,