Kal hum ne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi

THIS GHAZAL WAS SENT ME MY BEST FRIEND IQBAL HYDER...



Kal hum ne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi,,

Sehra ki tashngi thy so daria
sharab pi,,

Apno ne taj dia hai to gairon
mein ja ke baith,,

Ae khana-kharab na tanha
sharab pi,,

Tu ham safar nahi hai to kya
sair-e-gulistan,,

Tu ham sabu nahi hai to phir kya sharab pi,,

Ae dil garifta ha-e-jana sabu
utha,,

Ae kashta jifaye zamana sharab pi,,

Do surtein hain yaroo dard-e-firaq ki,,

Ya is ke gam mein toot ke roya sharab pi

Ik meharban bazurg ne ye
mashwara dia,,

Dukh ka koi ilaaj nahi hai, ja kar sharab pi,,

Badal garaj raha tha idhar,
mohtasib udher,,

Phir jab talak ye ghaqda na,
suljha sharab pi

Do jaam in ke naam bhi ae peer-e-maikada,,

Jin ruftagan k sath hamesha
sharab pi,,

Kal hum se apna yar khafa ho gia

"FARAZ"

Shayad ke hum ne had se zyada sharab pi...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,