Ab Tak To Nuur-o-niKhat-o-rang-o-sadaa KahuN Main

Ab Tak To Nuur-o-niKhat-o-

rang-o-sadaa KahuN Main

Tujh Ko Chhuu SakuN To

Khudaa Jaane Kyaa KahuN

Lafzon Se Un Ko Pyaar Hai

Mafhuum Se Mujhe Vo Gul

Kahen Jise Main Teraa

Naqsh-e-paa KahuN Ab

Justajuu Hai Terii Jafaa Ke

Javaaz Kii Jii Chaahataa Hai

Tujh Ko Vafaa Aashnaa

KahuN Sirf Is Ke Liye Ke Ishq

Isii Kaa Zahuur Hai Main Tere

Husn Ko Bhii Sabuut-e-vafaa

KahuN Tuu Chal Diyaa To

Kitane Haqaa_iq Badal Gaye

Najm-e-sahar Ko Marqad-e-

shab Kaa Diyaa KaruN Kyaa

Jabr Hai Ke But Ko Bhii

Kahanaa Pade Khudaa Vo Hai

Khudaa To Mere Khudaa

Tujh Ko Kyaa KahuN Jab

Mere Muh Mein Merii ZubaN

Hai To KyuN Na Main Jo

Kuchh KahuN Yaqin Se

KahuuN Barmalaa KahuN

Kyaa Jaane Kis Safar Pe

RavaN HuN Azal Se Main Har

Khawab Ko Ek Nai Ibtidaa

KahuN Ho KyuN Na Mujh Ko

Apane Mazaaq-e-suKhan Pe

Naaz Gaalib Ko Kaainaat-e-

suKhan Kaa Khudaa KahuN.

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,