FARAZ AHMED

Kabhi mom ban ki pighal gaya,

Kabhi girti girti sanbhal gaya,

Wo ban ki lamha guriz ka,

Meri pas si nikal gaya,

Usi rokti bhi to kis trha,

Ki shakhs kitna ajeeb tha,

Kabhi tarap utha meri aah si,

Kabhi ashak si na pighal saka,

Sar-e-rah mila wo agar kabhi,

To nazar churaki guzar gaya,

Wo utar gaya meri aankh si,

Meri dil si kyun na utar saka,

Wo chala gaya jahan chhor ki,

Min wahan si phir na palt saka,

Wo sanbhal gaya tha Faraz,

Magr min bikhar ki na simat saka...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,