Kyun na phir sy usay milnay ka irada kr lon,

Kyun na phir sy usay milnay ka irada kr lon,

Zakhm ye sadiyon purana tar-o-taza kr lon,

Phir sy keh doon usay k tum meri aqeedat ho,

Phir sy guzri mohabaton ka eyada kr lon,

Sonp doon ab ye apni shokh tabiyat uss ko,

Sochta hu k khud ko is qadar saada kr lon,

Ya usay pa k bhula doon me dard-o-ghum apnay,

Ya us k hijjr ka ghum aur b zyada kr lon,

Wo to hr qasam hans k torr jata ha,

Phr nya kis tarha us sy koi wada kr lon.

Comments

Popular posts from this blog

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai