Yeh daulat bhi le lo yeh shohrat bhi le lo
Yeh daulat bhi le lo yeh shohrat bhi le lo,, Bhale cheen lo mujhse meri jawani,, Magar mujh ko lauta do bachpan ka sawan,, Woh kaghaz ki kashti woh baarish ka paani,, Muhalle ki sabse nishaani purani,, Woh buRRhiya jise bachche kehte the nani,, Woh nani ki baaton mein pariyon ka dera,, Woh chehre ki jhuriyon mein sadiyon ka phera,, Bhulaye nahin bhool sakta hai koi,, Woh chhoti si raatein woh lambi kahani,, Woh kaghaz ki kashti woh barish ka pani,, KaRi dhoop mein apne ghar se nikalna,, Woh chiRiya woh bulbul woh titli pakaRna,, Woh guRiya ki shaadi pe laRna jhagaRna,, Woh jhule se girna woh gir ke sambhalna,, Woh peetal ke challon ke pyaare se tohfe,, Woh tooti huyi chuRiyon ki nishani,, Woh kaghaz ki kashti woh barish ka pani,, Kabhi ret ki oonchi teelon pe jaana,, Gharaonden banana bana ke mitana,, Woh masoom chahat ki tasveer apni,, Woh khwabon khilono ki jaagir apni,, Na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan,, BaRi khubsoorat thi woh zindagani,, Woh kaghaz ki kashti woh barish ...