Kuch na kehna chup chup rehna, ye bhi ik udaasi hay

Kuch na kehna chup chup rehna, ye bhi ik udaasi hay..


Hans k saray sadmay sehna, ye bhi ik udaasi hay..


Bethay bethay khho sa jana,
youn hi door khayalon mein..


Chaltay chaltay hanstay rehna, ye bhi ik udaasi hay..


Maar k kankar lehren gin'na,
beth k jheel kinaray par..


Kuch logon ka hay kehna, ye bhi ik udaasi hay..

Comments

Popular posts from this blog

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai