**Gullo'n Ki bazam sajana usay pasand na tha..

**Gullo'n Ki bazam sajana usay pasand na tha..

**Kisi k piyaar ko pana usey pasand na tha..

**Wo aik aik se milta tha piyaar se lakin..

**Hamee'n se hath milana usey pasand na tha..

**Wo dil main bughaz bi rakhta tha zehan main kad bi..

**Gillay ko hont pe lana usey pasand na tha..

**Wo qoul karney ko to baar baar kar leta..

**Magar qaraar nibhana usey pasand na tha..

**Hamarey naam ko likh likh k jo mittata tha..

**Hamarey dil main samaana usey pasand na tha..

**Anokhi baat ha wo lout aaya ha..

**Agar'chey lot k aana usay pasand na tha...

Comments

Popular posts from this blog

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai

Teri mehfil bhi gai,