Shaayad mein zindagi ki seher leke aa gaya

**Sudarshan Faakir**
=>
=>
=>
Shaayad mein zindagi ki seher leke aa gaya

Qaatil ko aaj apne hi ghar leke aa gaya

Ta umr dhoondta raha manzil main ishq ki

Anjaam yeh ke gard-e-safar le ke aa gaya

Nashtar hai mere haath mein
kaandhon pe maikada

Lo main ilaaj-e-dard-e-jigar leke aa gaya

'Faakir' sanam qade mein na aata main laut ke

Ik zakhm bhar gaya tha idhar leke aa gaya...

Comments

Popular posts from this blog

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai