Marti Hoi Zamee’n Ko

Marti Hoi Zamee’n Ko

Bachaana Parra Mujhay…

Baadal Ki Tarah Dasht Pay

Aana Parra Mujhay…

Woh Ker Nahee’n Raha

Tha Mairi Baat Ka Yaqeeâ

€™n…

Phir Yoo’n Hua K Mar K

Dikhhana Parra Mujhay…

Bhoolay Say Mairi Simt Koi

Daikhhta Na Tha…

Che’hray Pay Aik Zakhm

Lagaana Parra Mujhay…

Us Ajnabi Say Haath

Milaanay K Waastay…

Mehfil May Sab Say Haath

Milaana Parra Mujhay…

Yaadai’n Thee’n

Dafan Aisi K Bad-az-farokht

Bhi…

Us Ghar Ki Daikh-bhaal Ko

Jaana Parra Mujhay…

Us Bay-wafa Ki Yaad Dilaata

Tha Baar Baar…

Kal Aainay Pay Haath

Uthaana Parra Mujhay…

Aisay Bicharr K Us Nay To

Mar Jaana Tha Hasan…

Us Ki Nazar May Khud Ko

Giraana Parra Mujhay…!!

Comments

Popular posts from this blog

Koi purani yaad mera rasta rok kar mujhse kehti hai,

Hum yousaf e zaman thy abi kal ki baat hai