Posts

MUJHSE MILNE

Mujhse Milne Ke Wo Karta Tha Bahaane Kitne Ab Guzaarega Mere Saath Zamaane Kitne Main Gira Tha To Bahot Log Ruke The Lekin Sochta Hoon Mujhe Aaye The Uthaane Kitne Jis Tarah Maine Tujhe Apna Bana Rakha Hai Sochte Honge Yahi Baat Na Jaane Kitne Tum Naya Zakhm Lagao Tumhe Isse Kya Hai Bharne Waale Hai Abhi Zakhm Puraane Kitne..

KACHI DEEWAR

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko, Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko ! Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon, Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujko ! Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein, Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko ! Vaada Utna Hi Karo Jitna Bibha Saktay Ho, Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujko ! Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Baram Rakh Lena, Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujko ! Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko, Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko !

KITNI AZIAT SE US NE

Kitni aziat se us ne mujh ko bhulaya hoga Mere yado ne usay khoob rulaya hoga Baat bay baat ankh us ki jo chhalakti hogi Us ne chehre ko bazo-on mai chhupaya hoga Socha hoga us ne din may qaye baar mujhe Naam haathele pe bhi likh likh k mitaya hoga Jaha us ne mera zikr suna hoga kisi se Us ki ankho mai koi anso tou aya hoga Raat k bhegne tak neend na aye hogi tujhe Tu ne takeye ko bhi senay se laagya hoga Ho k nidhal mere yado se tu ne jana Mere tasveer pe sar apna tikaya hoga Poocha hoga jo kisi ne tere halat ka sabab Tu ne bato mai khub us se chhupaya hoga Jab kabhi chand ko dekha akele tu ne Tujhe Meira saath bara yaad aya hoga..

~~~kaho ik din tum aao gey~~~

Jhuki hein ab meri nazrein, tumhe jo yaad kerti hein, baharein laut lao gey, kaho ik din tum aao gey. woh sari teri perchaiyan, tasawar ki woh tanhaiyan, jo aankhon se barasti hein kaho sab chor aao gey. kaho ik din tum aao gey. ye arzan hai khazan hum per, pholon ka hai eeman tum per, muhabat tor lao gey, kaho ik din tum aao gey. kyun nazrein teri piyasi hein, kaho kis ki matlashi hein, hakiqat ban ke aao gey, khawabon ko tor jao gey. kaho ik din tum aao gey.

Dost Miltay Jultay Hay

Dost Miltay Jultay Hay sath sath chaltay hay sath sath chlanay may ranjishay tu hotiee hay ranjishoo may lakin chatien tu hotie hay cahatoon ki bihi her pal ek ajab kahani hay hont hansatay hay ankheen bheeg jatii hay en behgtii nighaoon may khuwab jaltay bhoujtay hay khuwab k khuch aloo hotay hay khuch paroo hotay hay dur k safar may khuch mor aisay atay hay khuwab toth jatay hay sath choot jatay hay khwab k alaoo k rakh bihi tu uthni hotiee hay kirchiya uthnay may waqat beet jata hay Darad jeet jata hay...

MUJHSE MILNE

MUJHSE MILNE Mujhse Milne Ke Wo Karta Tha Bahaane Kitne Ab Guzaarega Mere Saath Zamaane Kitne Main Gira Tha To Bahot Log Ruke The Lekin Sochta Hoon Mujhe Aaye The Uthaane Kitne Jis Tarah Maine Tujhe Apna Bana Rakha Hai Sochte Honge Yahi Baat Na Jaane Kitne Tum Naya Zakhm Lagao Tumhe Isse Kya Hai Bharne Waale Hai Abhi Zakhm Puraane Kitne..

Chaand Bhi Dekha, Phool Bhi Dekha,

Chaand Bhi Dekha, Phool Bhi Dekha, Badal, Bijli, Titli, Jugnu, Koi Nahi Hai Aysa, Tera Husn Hai Jaisa, Meri Nagha Ne Yeh Kaisa Khawab Dekha Hai, Jamee Mein Chalta Hua Mahtaab Dekha Hai, Meri Akho Ne Chuna Hai Tujhko Duniya Dekh Kar, Kiska Chera Ab Mein Dekhu, Tera Chera Dekh Kar, Neendh Bhi Dekhi, Khawaab Bhi Dekha, Chudi, Bindiya, Darpan, Khusbu, Koi Nahi Hai Aysa, Tera Pyar Hai Jaisa, Rang Bhi Dekha, Roop Bhi Dekha, Rasta, Manjil, Sahil, Mahfil, Koi Nahi Hai Aisa, Tera Saath Hai Aisa, Meri Akho Ne Chuna Hai Tujhko Duniya Dekh Kar, Meri Akho Ne Chuna Hai Tujhko Duniya Dekh Kar, Kiska Chera Ab Mein Dekhu, Tera Chera Dekh Kar, Bahut Khubsurat Hai Aakhe Tumhari, Bana Legiye Inko Kismat Hamari, Use Aur Kya Chahiye Zindagi Me, Jise Mil Gaye Hai Mohabat Tumhari..