Jab bhi hansne ke zamaane aaye
Jab bhi hansne ke zamaane aaye Zakhm phir yaad puraane aaye Baar-ha unko manaaya to hamein RooTh jaane ke bahaane aaye Phir mujhe toot ke chaaha usne Phir bichhaRne ke zamaane aaye Muskuraa kar hamein milne waale Zindagi bhar ko rulaane aaye style="display:block" data-ad-format="fluid" data-ad-layout-key="-ek+6f-x-bw+pb" data-ad-client="ca-pub-4388328969063861" data-ad-slot="1609891616"> Kitni mahroom thiN neendein unki Khaab bhi jin ko jagaane aaye Teri chahat ne Thaharne na diya Raah mein kitne thikaane aaye Tu nahi hai to hawa ka jhoNka Ghar ki zanjeer hilaane aaye Dil bujhaa hai na jale hain kheeme Aap kyuN jashn manaane aaye Isi ummeed pe jaago yaaro! Ab woh kis waqt na jaane aaye Raas aaya jinhein sehra 'Muhsin' Unki qismat mein khazaane aaye